Jinhe kabhi pyaar nahi mila, wo mard kaise hote honge? Akele mein rote honge? Kabhi chain se sote honge? Karvat badalte waqt haath kahan rakhte honge? Kya baatein batate honge? Ya sach ko chhupate honge? Khwab to dekhte honge, Hai na? Aankhen udaas hoti hongi? Karte honge kisi anjaane ka intezaar, Kisi se to karte honge bepanaah pyaar. Thode chup rehte honge, Kisi ki bhi baatein sunte honge. Bahut pyaar hoga na unke dil ke andar? Ya hoga bilkul khaali-pan? Khud se baatein karte honge? Apni duniya mein rehte honge? Hanste honge? Ya shayad nahi. Hansi kahan aati hogi unhe. Kavitayein likhte honge, Adhoori adhoori. Jab koi milta nahi hoga kuch bhi batane ko, Andar ke zakhmon ko chhupane ko. Dikhawa to wo bhi karte honge na? Kisi par to marte honge na? Koi tasveer hogi unke khwabon mein? Ya bas shunyapan hoga? Jinhe kabhi pyaar nahi mila, Wo mard kaise hote honge? Hindi Version: जिन्हें कभी प्यार नहीं मिला, वो मर्द कैसे होते होंगे ? अकेले में रोते होंगे ? कभी चैन से सोते होंगे ? करवट बदलते...
A promise to love you till my eternity...